Kya High BP Se Heart Attack Ho Sakta Hai? Risk, Lakshan Aur Bachav

 Introduction (परिचय)


High BP Aur Heart Attack Ka Connection - 

Aaj ke time me High BP (Hypertension – उच्च रक्तचाप) mostly family mein aam problem ban gayi hai.
Lekin zyada tar log ye sochte hain ki BP tabhi khatarnak hota hai jab zyada Severe ho (chest pain) 

High BP ke karan chest pain aur heart attack ka risk

Sach ye hai ki High BP se heart attack ho sakta hai, aur kai baar bina warning (sign & symptoms) ke bhi ho sakta hai.

World Health Organization(WHO)  ke mutabik,
High BP duniya bhar me heart attack aur stroke ka sabse bada karan hai.

Indian Council of Medical Research (ICMR) ke data ke hisab se,
India me hone wale heart attack cases me se zyada tar logon ko pehle se High BP hota hai. 

High BP (Hypertension – उच्च रक्तचाप) Kya Hota Hai?

High blood pressure aur pulse check karte hue BP machine


Jab hamara dil blood pump karta hai, to blood arteries (नसों) par pressure dalta hai.
Isi pressure ko Blood Pressure (BP) kehte hain.

  • Normal BP: 120/80 mmHg

  • Jab BP lagatar 140/90 ya usse zyada rahe → ise High BP (Hypertension – उच्च रक्तचाप) kehte hain

⚠️ High BP ko Silent Killer isliye kehte hain kyunki isme aksar koi dard ya symptom nahi hota

High BP Se Heart Attack Kaise Hota Hai?

High BP se dil ko hone wala nuksan aur heart attack ka sanket


1. Dil Par Zyada Load Padta Hai- High BP me dil ko zyada zor laga kar blood pump karna padta hai.

Isse:

  • Dil ki muscle moti ho jaati hai

  • Dil thakne lagta hai

 Dheere-dheere dil kamzor hota hai aur Heart attack ka risk badhta hai

2. Nasen Sakht Aur Patli Ho Jaati Hain- 

High BP se arteries (नसें) hard ho jaati hain.
Unme cholesterol jamne lagta hai Jis se dil tak blood kam pahunchta hai & Oxygen kam milti hai

Heart attack ho sakta hai

Example-   Mere saath mere uncle rehte the.

Unhe dheere-dheere ye problems hone lagi:

  • Bechaini (Restlessness)

  • Sir dard (Headache)

  • Ulti jaisa lagna (Nausea – मितली)

  • Heartbeat tez hona (Pulse – नाड़ी)

Unhone zyada dhyan nahi diya aur ghar par hi dawa le li lekin fayda nahi hua jab doctor ke pas gaye to unke test huye tab pata chala ki - 

  • BP bahut zyada tha

  • Isi wajah se heart attack aa chuka tha


High BP Aur Heart Attack Ke Lakshan (Symptoms)

Hospital me high BP patient ka heart aur BP monitor

Agar High BP patient me ye signs dikhein, to turant hospital jaayein:

  • Chest me dard ya bojh 

  • Left haath, gardan ya jabde me dard

  • Saans lene me dikkat

  • Zyada pasina

  • Chakkar

  • Pulse (नाड़ी) tez hona

In lakshanon ko ignore karna jaanleva ho sakta hai

⚠️ Kaun Zyada Risk Me Hota Hai?

  • 40 saal se upar age

  • Smoking / tobacco / alcohol 

  • Diabetes

  • Motapa (fat)

  • Family me heart attack history

  • Zyada stress aur kam neend

High BP Hone Par Heart Attack Se Bachav

1. BP Regular Check Karein

Hafte me kam se kam ek baar BP check jarur karna chahiye 

2. Roz Chalna Aur Exercise
  • Roz 30 minute walk, Ye BP aur heart dono ke liye achha hai

3. Namak Kam Karein

World Health Organization ke mutabik:

  • Din ka namak 5 gram se kam Lena chahiye jayda namak ka sewan karne se bp high ho sakta hai

4. Dawa Regular Lein

Agar kisi person ki BP ke dawa chal rahi hai to BP normal ho jaane par bhi bina doctor ke bole dawa band na karein.

Medical Research Kya Kehti Hai?

High BP aur heart attack ke baad doctor se salah leta patient

  • WHO ke research ke hisab se, BP control karne se heart attack ka risk 40–50% tak kam ho sakta hai

Conclusion (निष्कर्ष)

High BP se heart attack ho sakta hai, ye ek sach hai.
Ye bimari dheere-dheere dil ko nuksaan pahunchati hai.

BP ko control me rakhein
 Regular checkup karayein
Sahi lifestyle apnayein


📌 Important guide- 

Yeh jankari sirf health awareness ke liye di gayi hai. Kisi bhi bimari ya dawa se judi koi bhi problem ho to khud se ilaaj na karein aur doctor se salah zaroor lein

Agar yeh jankari aapko achhi aur upyogi lagi ho to comment karke zaroor batayein. Aisi hi simple aur sahi health jankari ke liye hume follow karein,

 aap comment me yeh bhi bata sakte hain ki agla article hum kis bimari par likhein

Thanks 

Realmedvision

Comments

Popular posts from this blog

What Is Normal Blood Pressure/Hypertension According to WHO?

Early Warning Signs of Heart Attack You Should Not Ignore

High Blood Pressure - Causes, Symptoms & Preventions